
WHY EVERYONE HATES ME? Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Inki mehfilon me intezar mera
Bhale kaam Inka, intezam mera
Maine dosti ko rakha sabse upar
Fir bhi ye soche kab ho intekal mera
Mujhe nind se uthao ye sapna hai bhayanak
Mujhe mere baare pata to apna tu bata mat
Maine raate kaati nashe me, nasha hai aafat
Maine music kiya maze me, ban chuka aadat
(Aye)
Maa ko bola maine kha liya par bhukha tha
Chati me tha pain mere fir bhi main fuka tha
Kisi ko kisi ki parwa nhi yaha kabhi bhi
Diya jo usne mujhe naam uska dhokha tha
Black out aandhe ghante mujhe sans nahi aayi
9 to 5 mujhe raas nahi aayi
Wo bole tere jaisa banda dekha hi nahi
Tu likhta uske liye jab wo pass bhi na bhai
Mere gully me to mudder hona aam sa
Mere gully me to drug khole aa raha
Mere gully ke halaat se crime badhe
Warna tere jaisa ladka main bhi aam tha
Gaane likhne baithu raat ko subh ho jaye
Jo mujhe mile dua wo tere hisse aaye
Ye mere gaane sunn ke ro dete hai jane kyu
Maine to life ke bas apne kuch kisse btaye
Na jane mujhe hate kre kyu sab
Mujhe chahiye nahi new love
Mujhe chahiye nahi new log
Mujhe chahiye bas few puff (aye) ×2
Aankhe laal rakhta, studio pe maal rakhta
Sabse tu hai alag kyu, khud pe sawal rakhta
Pucho haal sabka bhale mera koi na
Chahu to main mahine me puri album daal sakta
Khud ko deta gaali aaine ke samne
Maine dekhi jani lino pe mamle
Wo bole hoga thik thoda calm reh
Tune matlab rakha bas apne kaam se
Ye gaana mehez gaana nahi sach mera
Ye soche baate jhut par hu sach keh rha
Jab bhi vishwash kru lage vish-paan karu
Kabhi kabhi lgta dekha Maine sab chehra
Sharab bhi na nasha deti hai
Meri kala mujhe wafa deti hai
Meri jaan mujhse kafa rehti hai
Tu mere pyar ki bas gawah reh gayi hai
Ab kya bolu tujhko bhai
Mere music ke karan main ghar se hu lar rha
Ab kya bolu tujhko bhai
Mere sath wale hate dete jaane kya main kar rha
Ab kya bolu tujhko bhai
Mera mann mujhe bolta tu aisa kyu hai ban rha
Ab kya bolu tujhko bhai
Andar hi andar main andar se mar rha