Haan Tu Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Yeh Akaashwani hai
Ek Vishesh Suchna
Yeh Suchna samarpit hai Bharat ke har zimmedar Nagrik ko
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu ek pyada
Teri keemat nahi ek dange se jyada
Tu neta ka wakeel baap bills bhar ke aadha
Tu pani chullu bhar tha samundar ka vaada
Tujhko milte laate ghoonse
Tera hero aam choose
Choos ke tujhko guthli jaisa fenkte hai
Phir bhi ped ban wapas udhar he ghutne tekte hai
Haan tu
Haan tu neta ka bhakt
Whatsapp university me saara waqt
Pyaada tu kisi aur ka takht
Kursi pe tera maalik raste pe tera rakht
Neta ka beta foreign me padhe
Tu chaddi me fatehaal raste pe khaade
Neta ka business aage badhe
Tu apne he desh ke logo se kattar ban ke lade
Haan tu
Haan tu patrakaar
Lada ke desh kare maalik ki naiyya paar
Studio me debate desh bhar me hahaakar
Fake samachaar de maalik ka wafadar
Godi me baith maalik ki chaate
Desh ko lada ke dharam me baate
Haathon me phool jehan me kaate
Fourth pillar zameer ke gaalo pe chaate
Haan tu
Haan tu filmstar
Masalo pe chuppi muscles pe baate chaar
Filmy hero par villains inke yaar
Propaganda bech pait paale talent lachaar
Banate banate filme raddi
Gayab hui tere reed ki haddi
Desh me human rights hote rahe fisaddi
Deshbhakti filmo se milti rahe noto ki gaddi
Haan tu
Haan tu cricketer
BLM ke liye jaaye ghutne par
Khud ke desh me chale jitne chaahe bulldozer
Sakraki defence me bole internal matter
Teri lambi chale paari
Betting me dunia chaahe bane juari
No balls wohi bimari
Tujhko teri chuppi pyari
Haan tu
Haan tu Businessman
Sakraki daftar teri vanity van
Electoral Bonds khareed farokht tera business plan
Tujhe loan waiver public ko mile scam pe scam
Khareed ke tune media saara
Jala daala bhaichaara
Doobe desh tujhko kinaara
Dhandha uncha rahe tumhara
Haan Tu
Haan Tu neta
Public ko tu chaahe thullu deta
Brainwashed banda phir bhi tujhe chun leta
Left right dono ka tere paas theka
Ek beche zeher ek dawai
Peeth peeche dono neta bhai bhai
Janta ke kharche teri kamai
Democracy ka kattal karte kasai
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Haan tu
Iss kahani ke koi bhi kirdaar kalpanik nahi hai
Tatha yah iss desh ki sachhi ghatnao par aadharit hai
Suchna samapt