Still Here Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Najar ke aaine me aasu ke samandro se.
Ye aankhe bhar kyu jaati dard ke bawandro se
Na lafz nikle muh se kaise dil ke haal baatu?
Yeha ek din na beete kaise poora saal kaatu?
Ye waqt tham kyu jaata jab bhi meri baari aati.
Kyu bura waqt samjhe mujh ko apn aaccha saathi?
Kyu Patti daal aankho pe tu hai mujhe fasati?
Na tu hai andha na hi mai hu teri andhi laathi..
Aii bure waqt kar na pyaar mujh se itna saara
Hai sab ne chora yaar Maine un ka kya bigada?
Palat ke dekhte na log Aaj kal Jo mujhko...
Kuch Aisa kar ke tu bhi lout ja na mere yaara.
Dikhe na saath koi mushkilo ke band ghadi me
Kyu dekhe door se zeher ki jaisi fuljhadi mai
Ho agar ye bas me mere khushiyan un ko mai dila du.
Mai bhoolu na kisi ko khoobiyo ki sirchaehi me.
Saha jo maine baate, na kisi se bhi kaha mai
Ha khaya khana baate, jhooth maa se bhi kra mai.
Ki rishtedaron me bhi na meri khabar hai koi
Hu jinda ab bhi, ya ki duniya me hi na raha mai.
Nhi wo log jo satate the, sataye to na.
Mai un ka pyara keh ke hak bhi to jataaye to na...
Mai waqt ka hu maara, na koi khata hai meri.
Chalo ye hai khata to, mujh ko fir sazaaye do na,
Yu rooth jaana koi baate acchi hoti nhi.
Gamo ki muskurahate bhi sacchi hoti nhi.
Galat hai log jo bhi kehte hote jhoothe hoth.
Ye aankhe jhoothi gum dikhaye pr na roti boht.
Wo kehte paas hu, to faasle bhi kam kro na
Mujhe bhi maa ke paas, leke mere ghar chalona
Huwe hai saal do, nikal ke mere apne ghar se
Wo kehte ghar pe aaja, dhan bhi to kamau to na...
Chupaya dard kaafi, dusro ko na bata ke.
Na lota ghar mai taaki, kuch to laau ghar kama ke
Aur aaj is jaha me kho chuka hu is tarah se.
Ki jaise boond koi jake gir gai satah pe.
Mujhe hai pyaar, un ke haq me bhi wafaye likh de.
Mai un ko chahta hu baate har Safar pe likh de,
Jo meri jindgi ka baaki hai bacha Safar bhi.
Wo mere sath, aur door ho balaaye likh de.
Mai tum se pyar chahu, pyar do aur pyar lo na.
Na poocho mujhse tum ki, hota kya hai khud ko khona
Na yuhi rota koi, na hi koi, roothe khudse.
Na chodo haat, mujh se pyar tum to karte ho na?
Tu kehta jaan dunga, tu hi mera hai chahita
Mujhe thi, Lod teri, dundha maine tu nhi tha.
Tu gum hai gairo me, na dikhta tujhko yaar tera
Tu khush reh khudme, ho mubarak tujhko pyar tera.