
Hum Kal Na ft. Abdullah Kasumbi Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2024
Lyrics
Hum kal na jo
Maujood hon
Rahay gi ye sada, gawah
Phir chahay zindagi na ho rawan
Jal janay do
Saaray jo wo
Aaray jo hon
Mano ye dil mera ik riyaasat
Aur mai tehrun baadshah
Riyasat-e-qalb ka
Half utha kay keh duga
Teri har ik muskaan ki barabari
Kay liye
Har ik gham azaad, kardu beparwah
Chah kay bhee bhool na mai pau teri wo adaa kay
Alfaaz aisay alfaazon say kar day barhana, Iss tarah
Kay mubtila hojayen soch mai
Bilawajah ki khoj mai
Phir waqt lagay humay bojh ye
Iss soch mai, iss khoj mai
Kya khoob hai kaha, kya khoob hai kaha kisi nay meri jaan
Jo ho samandar itna gehra aur na koi ho pehra
Kaisay phir chahay ga na dil kisi ka doobnay ka
Dhoondnay ka, hai kya bacha zameen pay
Aur ye samandar mujh say keh raha hai, ye na kabhee kahee tehra hai
Kaisay phir chahay ga na dil kisi ka doobnay ka
Doobnay ka
Doobnay ka
Doobnay ka
Doobnay ka