![FAIZ](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/02/28/a9ea89fb673b4ffc852d04f26a04ccd0_464_464.jpg)
FAIZ Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Faiz
Ab jo likhne baithu gaane toh lagti inko shayari
Din kaisa beeta yeh sirf janti meri diary
Aur shayari karu main aati jaisi tuti futi
Yeh gaane khatam karu toh lage jaise jaan chuti
Likhne mein sukoon toh phir usse kabhi dara nahi
Khud pe tha bharosa dekh mic pe bhi khada bhai.
Talent nahi , bharosa nahi passion se aage chala bhai
Passion se aata hardwork aur hardwork se kala bhai
Aur talha bhai , thanks ke raabta banaya
Rhyme mein advice di laga rehna sikhaya
Mujhe saare hi sikha ke gaye kuch na kuch .
Mujhe saare hi sikha ke gye ke ander rakhu apna dukh.
Likhne baithu shayari toh sochun khud ko faiz
Isi mein lagta mann mera kamra pen and pad
Hum reelein dekhein saath waqt ka pata hi nahi chala
Wo sunaye mujhe "weekend" main samjhau use "talha"
Zindagi char din ki mujhe aisa khauf tha
Char din bhi saath the toh char din bhi bht tha
Ek aakhri bar suno mujhe dil ki batane do
Accha khair choro chalo…………….jaane do
Aagey jo bhi hoga usky maan lenge seekh hai
Shayad mera chot khana bhale ke liye thik hai
Baato se naraz hai wo ab nahi aayegi
Khat likhu gaane likhu ya likhu uspe shayari
Mera har sapno mein tera wo kirdaar jana,
Socha na tha asal na hogi
Mujhse toh ishq bhi nahi hota hai ab kya kare
Mujhse kya khaak shayari hogi.
Nadi ne dhoop se kya keh diya ravani mein
Ujale pav patakne lage hai pani mein
Yeh kisi aur pe hi likh raha hu gaane mein
Ab tera zikr bhi meri kahani mein
Nadani mein bht sabak sikhe jawani mein
Kaun hi likhega gaane itni paresani mein
Yahi soch leta main aur har jata mann
Wo aa ke mujhse bolte ke zindagi hai jaani ek
Bekari hai , ajab si bekarari hai.
Dekhi bhi na jaaye waise zindagi guzari hai
Yaado ke bina tere aati hi nahi
Lagta hai jaise meri nind bhi tumhri hai
Ha Maine usey kbhi likhe nahi khat
Kya hi batu ke ab khoon thukta hu main.
Pichle mahine tha usi ke seher mein.
Pata maloom usey phir bhi dhoondta hu main
Ab main bhi kuch na bolu, usse kaun lade bhala
Shayad har jau sab , Aur seekh lu yeh kala
Main Nakaam toh barbad,aur chala toh main chala
Phir beat pe Amyth hoga Mic pe main aur Talha