![2324](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/01/31/7769124791794f9ab2c49eafa630d66c_464_464.jpg)
2324 Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Aaj hum roshni se darta hai, kal tak hum unme se ek thee
Choto se zehen ye bhar chuka, firbhi hum ghutne na teek'te
Mudke woh aane na wali, firbhi na jane kyun raastein dekhte
Aaj woh meri bhi nai, kal tak jo kehti thi hum dono ek hai
Na jane ye kaisa safar, apno se duri, jab manzil talashu
Paap se darte ye nai, samjhoge jab tere aage tarazu
Mere jo sath, chale heere woh laundey mein sabko tarashu
Jana woh pyaar he kaisa, jo na rulai khoon ke aanshu
Hum toh bas khuda ke putle, pal me he zindagi pal me he maut hai
Na jane hum unko kyun chahate, jinke he waja se milti ye choot hai
Khawaishein pure hosake, par saitan ke liye mein kabhi bhi muda nai
Khuda se ladta rehta par khuda kasam hu mein itna bhi bura nai
Dard ye Kalam se bahe aur, khatam hoti hai meri sehai nai
Kehta ki theek hu janemaan, lekin jhuth kabhi kahe lekhai nai
Khuda ko kosta rehta ki, dua karke bhi woh pas kyun aayi nai
Tujhe woh de toh deta par uski dua me tu toh hai he nahi
Hamesha sath me rehna yehi thi meri bas unse guzarish
Roya mein khoonke aanshu, ye moaj lete rahe jaise mein barish
Bhale mein maru aaj, tab bhi zinda rahunga mein hamesha he
Kyunki mein kalakarr the chosen one haan mein khuda ka waris
Aake zara dekhle na mujhe
Mere hatho me Kalam lage khuda ka ye hath
Mere baaton me wazan tabhi sunte na baat
Mere khatoon me khazane aur bhare kahi raaz yeah
Aake zara dekhle na mujhe
Mere hatho me Kalam lage khuda ka ye hath
Mere baaton me wazan tabhi sunte na baat
Mere khatoon me khazane aur bhare kahi raaz yeah
Maheno se nahi malum kalakarr ke bare me
Lapaata hai banda ya fir milgaya hai taroon me
Hath thame wale zyada nahi bhai charre hai
Pas me Kalam ko ki dard ke sahare hai
Char hafte hochuke hai daag na sehai ke
Farak kya padta hai jaana mere ye lekhai se
Bada nahi lekin aaj banne ki kosis kyunki
Bade nahi bante sehzadoon ki padhai se
Mujhe Jante bhi nahi, firbhi kehte bura bhala
Kalakarr bhi nahi firbhi dete mujhe salha
Aur Kalamko hath me liye sabhi likh lete
Lekin shabdho ko zinda karna hota asli kala
Dekhe nightmare mere sapno me maut hai
Haar na mein manu, kyunki bada mera thought hai
Khuda aur khudko he aage mein rakhu kyunki
God gifted aur mehnath bhi bahut hai
Kaisa ye tanha safar, solo mein rider in khali sadak pe
Kitne he dafa mein thokare khaya par sapno se jaana aaj hum na bhatak'te
Kalam ye chalta rahe aur beat ki kumi toh dil dhadak'te
Pair hai zame pe tab bhi sapno ko uthake rakha falak pe