
Sharan Mein Apni Lagaye Rakhna Lyrics
- Genre:Indian Music
- Year of Release:2023
This song is not currently available in your region.
Lyrics
He Shyam tumne sharan mein apni laga liya to lagaye rakhna
kirpa se apni mera mukaddar bana diya to banaye rakhna
Ya gham ke sagar mein doob jaate
yaa mushkilon ke pahad hote
he Shyam pyare jo tum na milte
to aib mujhme hazaar hote
fizool batoon se jo Arun ko, bacha liya to bachaye rakhna
He Shyam tumne sharan mein apni, laga liya to lagaye rakhna
Tumhare haathon ka hu khilona
tumhare haathon mein meri chabi
sanwarna tum he Shyam pyare
jo mujhme aaye koi kharabi
sada Dayanand pe sanwre tum, daya ki drishti banaye rakhna
Jo haath tumne na thama hota
mai do kadam bhi chala na hota
na mujhpe hti kirpa tumhari
to phool mann ka khila na hota
jo baag bhakti ka mere mann mein, laga diya to lagaye rakhna