![DOORDARSHAN](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/12/12/61f91670a5c44167ae0b858bc48e7b80_464_464.jpg)
DOORDARSHAN Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2024
Lyrics
Sunta roz khaali bohot bajte bartan
Dikha do koi inko saaf laake darpan
Hawaon-Hauslon me khoob hota gharshan
Aao karlo Doordarshan
Sunta roz khaali bohot bajte bartan
Dikha do koi inko saaf laake darpan
Hawaon-Hauslon me khoob hota gharshan
Aao karlo Doordarshan
Hum bekhudi me jalte-jalte aag ho gye
Jo gham mile wo sapno pe azaab ho gye
Kya khata hui ke kaante bo diye sanam
Khilaaf sab ajir ke wo gulaab ho gye
Neend me ho cheekhte kyu jaagte nahi
Tham gaye ho kyu safar me bhagte nahi
Ja chuka hai jo wo usko karte kyu talab
Paigam ye farishte unko baant-te nahi
Wo duniya unki hai aur ye tumhari
Yaadein chhod dena jab ho nakl-e-makani
Haadison ke chot ke nishan hain kuch hasi pe
Hu janta kyu chehre pe nahi wo poori aati
Bada hi khoob joda qaafiya
Gaur jo karo to gham hai khat ka asli daakiya
Furkatein manaenge hum aansu leke aankh me
Yaadon me aabad hum rakhenge tera aashiyan
Sunta roz khaali bohot bajte bartan
Dikha do koi inko saaf laake darpan
Hawaon-Hauslon me khoob hota gharshan
Aao karlo Doordarshan
Sunta roz khaali bohot bajte bartan
Dikha do koi inko saaf laake darpan
Hawaon-Hauslon me khoob hota gharshan
Aao karlo Doordarshan
Khuda ke kaayde hain inpe kiska zor hai
Gham chupa le jo hasi wo asli chor hai
Waqt thamne ki koshishen fizool hain
Hans liya to din wasool hai
Mujhko mae nahi dikhun
Mae thoda darr raha hu tujhse ab
Jee raha hu raat me hai chaandni gazab
Pee gya hu sare gham hu janta sabab
Riha mae kaise khudko kardu mujhko hai talab
Kissago hu meri le kahani se sabak
Dekhti hai mujhko pyaar se wahi sadak
Jispe saalon se hu chal raha mae bedhadak
Mazilon se mera lene haq
Shor-gul hai kafiron ka tum ho gye bhatak
Bejubaan hain nazrein gaa bhi leti kya gazab
Sab to keh diya hai kya hi bol du mae ab
Sab hai dekhta waha se mera rabb mera rabb
Sunta roz khaali bohot bajte bartan
Dikha do koi inko saaf laake darpan
Hawaon-Hauslon me khoob hota gharshan
Aao karlo Doordarshan
Sunta roz khaali bohot bajte bartan
Dikha do koi inko saaf laake darpan
Hawaon-Hauslon me khoob hota gharshan
Aao karlo Doordarshan