
Barbaad Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2022
Lyrics
Sunn ek baat batani tujhe bohot dinse
Teri yaad pilaye mujhe aansu ghin k
Teri baatein na bhula baatein yaad karke
Tune mudh k na dekha barbaad karke
Mujhe aaj bhi yaadein sataye teri
Mujhe jhuti saari baatein bhi rulaye teri
Tune chodha mujhe aise mai tayar bhi na tha
Koi dekhe koi puche koi yaar bhi na tha mera
Kya mila yeh sab karke kyu dil se mitaya mujhe rub karke
Aayegi na kabhi na kabhi tu roh roh k
Joh na diya tujhe dene hoge woh dhoke
Fariaad yahi hai na tu aaye mere paas
Ab tujhko paane ki maine chodh di aans
Teri jaise toh kahi mujhe mil jayegi
Bas mere jaisa na milega tujhe mere baaad
Barbaad hue barbaad sahi joh tu na rahi toh teri yaad sahi
Barbaad hue barbaad sahi joh tu na rahi toh teri yaad sahi
Barbaad kiya tune ishq ka naam tune socha bhi na hoga'hoga tera anjaam
Na woh raatein rahi na woh baatein rahi tere jaatein hi sab mujhe kaat rahi
Ab kisko batauga joh hua mere saath log sunke hasege aur kahege dus baat
Jazbaat mere ab kaabu nahi maine tauba kiya baby babu nahi
Ab in baaton ka kya matlab joh hona tha hua maybe it was my luck
Daily miss karta hu tujhe stalk karke tu khush hai waha mujhe block karke
Meri jaan yaha bas jalti rahi Teri party toh roz hi chalti rahi
Teri khushiya bhi zyada din chalegi nahi yeh teri daal kahi bhi galegi nahi
Tu khosish karke dekhle tujhko aazadi milegi nahi
Na hi darr na fikar na hi meri khabar zara soch k chal ek din hashar
Meri aazmaisho ka ghada bhi tere kadh se bada hai
Teri niyato ki tokri mai khud ched tune kara hai
Toh ab zara maan bhi jaa apni galti tu sar toh jhuka mujhe phone laga kar
Haq tu jata mujhe apna bata kar khudko fanha meri jaan lauta kar
Keh k toh dekhh tere aansu bhi ek na behne du usse pehle
Bachi jaan luta kar tujhpe fida kar gale laga k kehdu
K tujhe maaf kiya dil saaf kiya tujhe phir ek mauka dedu
Tujhe phir ek mauka dedu
Barbaad hue barbaad sahi joh tu na rahi toh teri yaad sahi
Barbaad hue barbaad sahi joh tu na rahi toh teri yaad sahi.