Gratitude ft. Madhav Monga Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2023
Lyrics
apne ateet se mein milna ni chahta
tabhi har subha ek banata iraada
nahi banana tu woh Rohit purana
jisko ayene mein dekh tujhe hota pachtawa
jo aaj Mera haal hai woh Mera hein hai gunaah
aur haal yahin rahe agar badlaav ni chuna
toh shuru karun Aaj se ek Naya falsafa
kyunki duniya mein banani tujhe khudki jagah
kyunki thak chuka hoon mein banke ek insaan
jo Roz kare khudka hein boht apmaan
jo khudko ko hein maane ek bura santaan
jo negative rehke khudko kare pareshan
mein janta hoon mujhpe haar nahi jachti
toh aaj se mein loon mere Zimmedari khudki
jisme har saal meri koshish rahegi
mein badlun apne Zindagi ki likhi buri pankti
hook
jo bhi hua acha hua
toh kyun karun mein bhi gila
jo bhi mila uske liye
karta hoon mein aabb shukriya
Apno ke liye sehlun sau Guna dard
Chahe dard se ho mujhe khoob nafrat
Kaafi waqt ho chuka maa se milkar
Aur papa ko dekhna jaate kaam par
Kabhi kabhi lagta mein kaafi khudgarz
Jo apno ko hein bhuljata bada hokar
Jo Roz unko yaad karta tha din bhar
Abb usse nahi fursat ki phone karle Ghar
Rishte nibhane mein na hai mujhe maharat
Par khudse hai shikayat kaisa ban gaya hoon balak
Jo apno se bhi zyada kare sapno ki hifazat
Tabhi na kabhi ban paya rishton ke mein
Layak
mein janta hoon mujhpe esi baat nahi jachti
toh aaj se mein loon mere Zimmedari khudki
jisme har saal meri koshish rahegi
mein badlun apne Zindagi ki likhi buri pankti
Hook
Jo bhi hua hona hein tha
Toh kyun karun mein bhi gumaan
Jo bhi mila uske liye
Karta hoon mein abb shukriya