Mere Ghar Mein Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2023
Lyrics
Nafrat jo dekhein aankhein nafrat hi vo chunti hain
Kuch baatein kitne bhi pyaar se hum bolein vo dil mein chubti h
Is ghane dhue mein saans leke hi main palaa badaa
Meri dhadhkanein tez, lage ye seene mein bhukamp si hain
Dar ke phool hain itne, pyaar ki khushboo kaafi kam si h
Kyun lage mujhe ki daudh ke bhi main vahi hoon aa khadaa
Sochoon main jab ho halaat sahi
Dikhaaoonga main jasbaato ko bhi
Aakhir jhagde hote theek baato se hi
Par kaash
Mere ghar mein hota pyaar aur mohabbat
Logon se ghirke bhi main tha kayeen baar akela jab khadaa
To dekhe kya rab aur kahe ki duniya ko kyun maine itna ye galat banaadiya?
Main chupaaoon kabtak
Jo aayein aansoon kyun main sochoon ki agar inhe bahaadiya
To main hoon kamzor?
Sochoon kabhi kabhi ki kisko hum ye dosh dein
Bura kaise boloon inko, na ye na apne hosh mein
Mein dil ek haweli, iske kisse na kisi ko hain pataa
Aur dikhai pehle de awaaz aaye baad mein
Kuch samay ke baad hi sunai di pukaar iski
Ye mere jaisa hi to hai, aur shaayad mujhse keh rahaa
Socha tha jab ho haalat sahi
Dikhaoonga main jasbaato ko bhi
Aakhir taare bhi dikhte hain raaton ko hi
Par kaash
Mere ghar mein hota pyaar aur mohabbat
Logon se ghirke bhi main tha kayeen baar akela jab khadaa
To dekhe kya rab aur kahe ki duniya ko kyun maine itna ye galat banaadiya?
Main chupaaoon kabtak
Jo aayein aansoon kyun main sochoon ki agar inhe bahaadiya
To main hoon kamzor?
Jo ye banaawatein, mitaane se
Chillaane se to jaaengi na
Aur ye rukaawatein, rulaane se
Waps hi to aaengi na
To main vaada karoon
Tumse bhi aur khudse bhi ki ye sunaai de
Har kaanch mein dekhoon jaise
Vo aaine
Mere ghar mein hoga pyaar, aur mohabbat
Mere saath rehke bhi koi na akela ho khadaa
Jab dekhe rab to kahe ki tezz hawaaon mein bhi isne ek diya jalaadiya
Main chupaaoon kbtk?
Jo aayein aansoon na main sochoon ki agar inhe bahaadiya to main
Hoon kamzor
Mere ghar mein hoga pyaar, aur mohabbat
Mere saath hoke bhi ab koi na akela ho khadaa
Jab dekhe rab, to kahe ki tezz hawaaon mein bhi isne ek diya jalaadiya
Main chupaaoon kbtk
Jab aaye aansoon na main sochoon ki agar inhe bahaadiya to main
Hoon kamzor
(Mere, mere ghar mein hoga pyaar) Agar inhe bahaadiya to main hoon kamzor (Mere, mere ghar mein hoga pyaar)