
khayaal ft. Bharath Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2023
Lyrics
Khayaalo se, Meri raatein andheri rahe
Bayaano se, Ye khuch bhi na sudhra na lage
Main khada yahan raah mein teri kab se
Boonde barse bheege mere pal ye
Churati tu jo mere se ye nazre
Main reheta teri aadat mein ye aadat se
Sun, Meri arzi, Marzi teri
Bewafai charcha poore sheher ki
Asaani se na jhukta ye standard filmy
Jaado alag, Dooba main fir bhi haan
Tujhmein, Khaayi maine chotein khaaye
Sadmein, Pyaar mera dheere chale
Darr ke, Jiya poori zindagi
Dabb ke, Sun meri aarzoo ab tu hi toh
Khayaalo se, Meri raatein andheri rahe (ab tu hi toh)
Bayaano se, Ye khuch bhi na sudhra na lage
Seedha kalam, Tedhe alfaaz mere
Feeka toh bas, Teri jo yaad judi
Main, Main khud se hi ab thhak gaya hu
Palat tey hi dhak dhak dhak dhak hua
Khaamoshi se vaakif mai saalo se
Zamaane guzra, Musaafir mai
Raha mai, Mehman baraabar
Duur baitha (cuz I understand babe)
Khayaalo se banti nahi baatein
Bin bole kat-ti nahi raatein
Jahnoom mein ishq guzarta nahi
Darbaar mein dard ye ghulta nahi
Khayalo mein sang ye toota nahi
Bayano mein sachh nikalta nahi
Adhuri hi sahi, Tu sun toh le
Barbaadi meri, Tu ye pran toh le
Chal saath kahi, Ham door chale
Nafrat se pare, Jahan pyaar mile
Khayaalo se, Meri raatein andheri rahe
Bayaano se, Ye khuch bhi na sudhra na lage
Khayaalo se, Meri raatein andheri rahe
Bayaano se, Ye khuch bhi na sudhra na lage