
12 AM Lyrics
- Genre:Soul
- Year of Release:2023
Lyrics
12 baje mein sochta tu kyu nahi hai
12 baje ankhe hai nam tu sang nahi hai
Tu lapaata panno mein mere kuch nahi hai
12baje yeh gaana mere sang royi hai
12 baje mein sochta tu kyu nahi hai
12 baje ankhe hai nam tu sang nahi hai
Tu lapaata panno mein mere kuch nahi hai
12baje yeh gaana mere sang royi hai
Tu lapaata meri in yaadon se tu hai kaha
Ab ankhe mundhu toh tu dikhti ni tu hai kaha
Khamosh hai tu ab mujhe kyu ni lad rahi hai
Tu call krti ni 12 baje tu tu hai kaha
Mein likhta Aaj bhi tere baare par pyaar nahi
Likhunga pyaar jab tu kedhe yeh sab sach nahi
Ke tu nahi hai sang koi tujhe aur mil chuka hai
Tu mere thi par , ab tu meri hai nahi
Bin soche tujhko mein yeh pyaar bayan karta raha
Aashiq tera mein aur gehra hota raha
Par aisi raat ayegi jab tu sang na hogi
Yeh baat mere zehen mein kabhi na aaya
Mein hona paaya Tera Aaj bhi wahi thera hu
Tu hasti hai tasveero mein wohi dekhke hasta hu
Bus tu na roye mein khuda yehi mangta hu
Tu hasti hi rahe mein Aaj bhi wohi chahta hu
Zamana kehti thi tu Aisa hai tu vaisa hai
Par koi ni puchta sab theek ha tu kaisa hai
Akela band kamre sochta mein jiu kaise
Kaise batau mein yeh ladka
kitna sehma hai
Hara mein apno se par zindagi se hara nahi
Mushkile aayi par mein mushkilo se darta ni
Zindagi jeena har insaan ko seekha deti hai
Jab maa hai saath mujhe aur kisiki parwah ni
Shayad sunegi woh yeh gaane jo mein likh Raha ha
Shayad ahsaas ho use mohhabat kitna tha
Shayad woh Aaj mere bin utna hi khush hogi
Jitna woh thi jab mein uska tha ho chala
12 baje mein sochta tu kyu nahi hai
12 baje ankhe hai nam tu sang nahi hai
Tu lapaata panno mein mere kuch nahi hai
12baje yeh gaana mere sang royi hai
12 baje mein sochta tu kyu nahi hai
12 baje ankhe hai nam tu sang nahi hai
Tu lapaata panno mein mere kuch nahi hai
12baje yeh gaana mere sang royi hai