
Jwalamukhi ft. Rohit Adsul Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2023
Lyrics
Dikhe na mujhe yahan koi bhi khush
Haan bolo na kaun santusht?
Jaali ye zamaana
Taali hai kamaana
Tabhi toh karun main hausle push
Likhun main wahi jo dekhun main drishya
Haan hona main chaahun adrishya
Aur kitna bhaagu main?
Aur kitna jaagun main?
Aur kitna karun main ghumon ko crush?
Mile na kuch bhi free
Yahan toh pyaar ki bhi keemat hai
Bank ka balance
Ya fir ho talent
Lakeeren maathe ki seemit hai
Maut ka gaana
Ek din hai jaana
Bhaage fir peeche kyun dream ke?
Itni bechaini kyun neend mein
Itni bechaini kyun neend mein
Haanthon mein vish
Leke main raaton mein
Chaand ki aankhon mein
Dekhun bhavishya
Karun main wish
Kalam ye rukena
Kabhi bhi bujhe na
Meri tapish
Likhe rubbish
Weak vichaar se
Rapper gawaar se
Maal-nourished
Karke piss inke gaano pe
Poori main kar dun meri fetish
Duniya saari matlabi
Haan karun main hustle abhi
Rukegi saans jab
Banunga laash jab
Rukegi meri yeh hustle tab hi
Duniya saari bohot dukhi
Haan bolo na kaun sukhi?
Andhera kaala sa
Karna ujaala tha
Phenku main jwala
Main Jwalamukhi