![MAKSAD](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/05/19/9f94436f4c6a43349b3ea8fd476cc45f_464_464.jpg)
MAKSAD Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2023
Lyrics
Koi amir ghar se hai koi garib ghar se hai
koi kuch na rehne k baad bhi sukhi hai
Koi sabh kuch rehne k baad bhi dukhi hai
Meko lagta hai khushiya apne aap me dhundo
Khushiya har ek pal me dhundo
Haa lekin paisa bhi jaruri hai jarurate poore karne k lia
Aur aaj k samay me zada tar chize paiso se hi milti hai
hai na
Iss ajeeb jivan se abh to mai thak chuka hu
Har roz vahi zindagi se pakk chuka hu
Isse acha hai ki lagta ki mai mar jau
Par saala khudkhushi karta vo to ek kayar hai
Ye baat sangeet pe bolne vala mai shayar hai
Adjustment karneko khada na edhar mai lawyer hai
Khoon me mere petrol chingari du toh fire hai
Hai ghosla chota par hausla toh mera higher hai
Shaitan mere sath me, lagta kismat uske hath me
Andhera meri jaat me aasu ankhonme raat me
Sacchai meri baat me gaane likhta jazbaat me
Rishte b sath fir kyu tanha hu apne aap me
Pyar ki ummeed chod dil na dekhne vaale andho se
Yaar ki ummeed chod dost bana jo tere dhando me
Bhaar milta ehsaan se jabh milta apne bando se
Pyar milta insan ko soo jaate jabh vo kandho pe
Maksad dhundle jeene ka
Koi maksad dhundle jeene ka
Jo takat hai tujme vo na bhulne ka
Koi maksad dhundle chote jeene ka
Iss ajeeb jivan se abh to mai thak chuka hu
Har roz vahi zindagi se pakk chuka hu
Isse acha hai ki lagta ki mai mar jau
Par saala khudkhushi karta vo to ek kayar hai
Ye baat sangeet pe bolne vala mai shayar hai
Adjustment karneko khada na edhar mai lawyer hai
Khoon me mere petrol chingari du toh fire hai
Hai ghosla chota par hausla toh mera higher hai
Maa bhagwan k samne rokar hath jodi
Boli Reham kar humpe zarasi abh toh Thodi
Maa rote rote muje ek baat boli
Ghar pe tuje hi lana hai abh paiso ki jholi
Mehnat karra hu maa karunga sapne pure
Saugandh unn ansu o ki jo tune gamm me chode
Tere har sacrifices to kabhi lauta na paungaa
Kasam hai meri Tuje rone ki naubat na launga
Koi maksad dhundle jeene ka
Koi maksad dhundle jeene ka
Jo takat hai tujme vo na bhulne ka
Koi maksad dhundle chote jeene ka
Mai aise jii hi nahi sakta
Lagra jaise 4-4 k diwaro me dabb gaya hu
Damm ghutra mera
Mai aisa hu hi nahi
Paida hua kuch leke nahi aaya
Marte samay kuch leke nahi jaunga
Par jabh tak jeera shan se rehna hai
Sapne poore karke aaram se rehna hai
Yahi swarg aur yahi nark hai
Bhagwan ne koi maksad k lia bheja apneko
Uska bharosa nahi todna
Bas vishwas kayam rakhne ka
Maut b darwaze pe kyu na aajaye
Arre hattttt
Sapno ko hasil karne tak ka mahulat mang lena