
Kaisi Kahani Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2023
Lyrics
Kaisi kahani, yeh zindgani
Khoye hue sab jaane kahan
Kaisi kahani, yeh zindgani
Khoye hue sab jaane kahan
Aaye kahan se, jaana kidhar hai
Yun bekhabar sa apna jahan
Dil mein kuch armaan le ke, bhaagte hum rahe
Aankhon mein hain khwaab lekin, jaagte hum rahe
Kaisi kahani, yeh zindgani
Khoye hue sab jaane kahan
Manzilon ki chahat mein kyoun, kho gaye in raahon mein
Manzilein to bediyon si bandh gayi hai paon mein
Unko bhi to dekh jo tere ho gaye teri chahaon mein
Pal do pal ka pyar mile to bhar lo apni baahon mein
Jaani pehchani, baatein purani, kar rahi hai hum se bayan
Kaisi kahani, yeh zindgani? khoye hue sab jaane kahan
Do kadam ka yeh safar hai, aaj hai kal kahan
Likh le khud apni kahani, aaj hain jo yahan
Kaisi kahani, yeh zindgani
Khoye hue sab jaane kahan
Aaye kahan se, jaana kidhar hai
Yun bekhabar sa apna jahan
Kaisi Kahani