![Tera Saath](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/05/10/d95eb9e87b054f659fce980c3972ca09_464_464.jpg)
Tera Saath Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2023
Lyrics
Tujhse milke hai sach aisa lage
Mila jaise mere dil ko ghar never felt this way
Teri hawaon me mai yu behne sa laga
Dil me jaane kitni baatein hain kehne ko tujhe
Ab se to zindagi tere naam hai
Ab se subha tu meri tu shaam hai
Ke ab tera saath hai
To asaan hai safar mujhko
Ab duniya ki kya fikar
Ke tera saath hai
To din gaye badal
Hua jaane kya asar
Ke ab tera saath hai
Jaana meri naa daar
Tera hamsafar rahunga umr bhar
Ke tera saath hai
Is saath par koi
lage naa nazar
Nazdeekiyaan badne lagi tujhse jo door baithe hi
Khamoshiyaan karne lagi nazron se baatein ankahi
Dhaage jo tujh se jud gaye
Saare jo gham the udd gaye
In dhaagon se kahaani bunle chal ik nayi
Khwaabon ne bhari nayi udaan hai
Raahat jo deti teri muskaan hai
Ke ab tera saath hai
To asaan hai safar mujhko
Ab duniya ki kya fikar
Ke tera saath hai
To din gaye badal
Hua jaane kya asar
Ke ab tera saath hai
Jaana meri naa daar tera hamsafar
Rahunga umr bhar
Ke tera saath hai
Is saath par koi
lage naa nazar
Raaho ka badla jo nazara nayi shuruaat hai hone ko
Rahu tera banke mai kinara wajah naa doon kabhi rone ko
Mujhse kabhi na hona khafa
Tujh bin ek lamha bhi saza
Ke taare bhi tod laaun ek baar jo bole to
Kismat bhi hui meri hairaan hai
Nayi khushiyon se hui pehchaan hai
Ke ab tera saath hai
To asaan hai safar mujhko
Ab duniya ki kya fikar
Ke tera saath hai
To din gaye badal
Hua jaane kya asar
Ke ab tera saath hai
Jaana meri naa daar
Tera hamsafar rahunga umr bhar
Ke tera saath hai
Is saath par koi
lage naa nazar