![Hussain Tera Diya Jalega](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/04/03/3e645a0cb4b7412ab2583e5e3d0c140e_464_464.jpg)
Hussain Tera Diya Jalega Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2023
Lyrics
Ye zikr e karbobala rehega
Hussain tera diya jalega
Ya Hussain
Hussain Badshah
Hussain deen he
Hussain deen panah
Zameer e insan ki sada he
Hussain wahid wo badshah hai
Ke kat ke talwaar se bhi ye sar
Sina pe uth ke jo kehraha he
Na ye jhuka he na ye jhuke ga
Hussain tera diya jalega
Wafaa ki jab daastaan hogi
Teri shahadat bayaan hogi
Khuda ka waada he aaj tujhse
Jahaan bhi meri azaan hogi
Wahi pe farsh e aza bhichega
Hussain tera diya jalega
Dua e zahra ka ye sila ye
Jo maatmi car vaa(n) bana he
Na rok paayegi koi taakat
Azaa ka jo silsila chala he
Ye silsila chaltahi rahega
Hussain tera diya jalega
Haq apna zainab ada karegi
Yun apna wada wafa karegi
Jo shaam ghurbat me pehli majlis
Tumhari behna bapa karegi
Har ek jinn o bashar kahega
Hussain tera diya jalega
Gharo me parcham sajaayenge ham
Yunhi muharram manaayenge ham
Jo ain maqsad tha karbala ka
Zamaane bhar ko bataaenge ham
Zamaana ro ro ke sab sunega
Hussain tera diya jalega
Ye shor maatam hussain ka gham
Na rukne paaye kabhi na ho kam
He zain aur iq'tidar dheko
Tamaam zakhmo ka ek marham
Ye sab ki haajat rawaan karega
Hussain tera diya jalega