Kese Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2023
Lyrics
Tere pe daalu mein ilzaam kya?
Tere pe daalu mein ilzaam na, kese?
Samajh se baar meri ye daastaan
Jab pyaar hai, tou jaanay du mein tujkho, kese?
Tujhe shayad thora bhi yaad na
Ayega mujhe ye khayaal na, kese?
Tere liye bas ek aur shakhs, baat karleti tu jisse
Mere liye tu sab, tere siwwa na mujhe aur koi dikhe
Khojju tujhko auron mein, aur aurro pe jo kabhi likhdein
Samajhlena likha tujh pe, jab bhi likhu aese misre
Dil phir se ye tootay aese, dikhein mujhe iske hissay
Yaad nahi karunga abh mein, daffan kar rha woh kissay
Behro ke kaano mein cheekhein maar ke abh thak gya hu
Dikhawe mein ji ke, andar se abh kaafi mar gya hu
Jurh rahay nahi ilfaaz
Jo kehna chah rha hu mein
Na hi ho rha sahi izhaar
Aakhir mein kya karu mein?
Baat nayi kar sakta kisi se
Tou phir kese na likhu mein?
Tujhko kese jaanay du mein?
Jab tu behti is lahu mein
Tujhko kese mein bhoolunga
Tu rehti meri ruh mein
Tujho kese mein bhoolunga
Jab tu baes-e-sakoon hai
Jab tu pohanchdeti dard thora se
Rou bethu mein quueein
Abh samanndar pooray bhar chukke hain
Mere un aansoo se
Jo na hui hain, na honi
Kho bethu unn guftagu mein
Jab ye saffar meri zindagi,
Tou kese ruk saku mein?
Kese?
Kese?
Aese, bas chaltay rahay, aur karte rahay,
Unh khayaalon' se lartay rahay,
Andar se thora marte gaye
Khud se khaayi vi qasmein,
Kaafi pooray karne sapnay hain
Inn baato'n pe woh hastay rahay
Par humko kya? Hum karte rahay
Saamp ban ke dastay rahay
Jo yaar hum samajhte rahay
Pyaar dia jinko, aakhir woh hi saalay jaltay thay
Jab apnay hi na saggay, wafa ke mayeeine kya rakheinge?
Jab khud hi hain hum terre, seedhay kese honge rastay ye?
Badalti gyi shakklein woh, aur barhthay rahay masle hain
Par tu rahi wahi hi, abhi bhi bina koi qasmon ke
Pta mujhe tu meri na, par meein tera hu arson se
Zyada khafa hogayi ho kya? Milti bhi na abh sapno mein
Kyu zaya karta waqt itna mein murjhayi vi faslon pe?
Koi bhi na mera yahan, siwwa khaaghaz aur charso ke
Ye jaam jo sharaab ke, aadhay bharray ve ashqo'n se
Tu apna kuch na karpaya, kisi ka aur kya karoge?
Jis se darta tu sabze zyada, aakhir woh hi ho bannoge
Jeete ho tum nashay mein aur nashay mein hi marroge
Qadam lene ko raazi na tum, aagay kese barroge?
Ayeine mein dekh kitna tu dur hai apni jarrho se