Yaaron Ki Paltan (The New Anthem of Dosti) Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2020
Lyrics
Yaaron mere yaaron
Tum jaan ho meri
Main panchi hoon agar
Tum udaan ho meri
Ho raat chahe jitni
Tum mashal ho meri
Main jaaun jis dagar
Ho pahachaan tum meri
Yaaron tumne hi kiya hae meri life ko chaman
Mere dil ke bagiyan main karte rahna tum bhraman
Bhramhand main na hoga tum
Kaminon sa ratan
...
Sab se pyari hae jahan main mere yaaron ki paltan
Tanatan tan tana tan
Hae mere yaaron ki paltan
Tanatan tan tana tan
Hae mere yaaron ki paltan
Apani bholi bholi sooratein
Jo tum dikhate ho
Un sooraton ke piche jhooth sau chupate ho
Apani aadaton se tum na baaz aate ho
Apani harkaton se tum na baaz aate ho
Dil kholke doon gaaliyan bas karta hae ye mann
Tum baawlon ke gaunga din raat main bhajan
Sab se pyari hae jahan main mere yaaron ki paltan
Tanatan tan tana tan
Hae mere yaaron ki paltan
Tanatan tan tana tan
Hae mere yaaron ki paltan
Share market ke jitna tum
Bhav khate ho
Saalon sapanon main bhi aake meri
Tum bajato ho
Par dosti ka waada bhi to tum nibhate ho
Bure waqt main tumhi to mere kaam aate ho
Jo roun main hasane ka bhi karte ho jatan
Hain yaaron ke hi naam meri jaan is janam
Sab se pyari hae jahan main mere yaaron ki paltan
Tanatan tan tana tan
Hae mere yaaron ki paltan
Tanatan tan tana tan
Hae mere yaaron ki paltan