Watan Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2022
Lyrics
Waise to boht yaha baatein karte kitne roz
Kitne aate kitne jaate kitno ki hai choti soch
Kitne jinko fark padta aasuon se logo ke
Aur kitne jo ki haste yaha pe aasuon me logo ke
Ye waqt na kisi ka hai gulaam ye samay ki baat
Do tarfa waqt aaj mere saath kal tere saath
Ye sach ke saath chahe jaisi ho teri haalat
Ye sacchi baat ki main likh raha mere jazbaat
Ye baatein dharm se dharm naam hai bimaari
Ye kehti kal sarkaar thi tumhari ab humari
Sun mere bhai ye naa tera hai naa mera hai
Ye naa kisi ka ho sake ye bas ek nakli chehra hai
Strategy hai politics ki aapas mein ladaate hai
Hum ladenge tab rahenge afwa ye failate hai
Ye desh ek hota khudpe baat aati jab
Par kaha ye rehte hota rape khulleaam jab
Aae mere watan ke logo zara aankh mein bharlo paani
Ye desh hai apne haath mein ye kashti nahi dubaani
Sab jhuthe waadein karte sab jhuthi lage zubaani
Kyu khabro mein hai chahyi har din dard bhari ek kahani
Sadak pe behne betiyaan kyu aaj lagti safe naa
Kyu hai darti maa ye meri ghar se bahar jaana na
Jab prashashan das hazar bheed ko sambhalte
Haiwaan jab jalaate behno ko na rok paate kyu
Sawaalo ka jawab pucho kehte naa ye mera zone
Neta mantri aise maamlo mein kaise baithe maun
Kaise hoga desh ka vikaas desh kuch na kehta
Jab zarurat sabse jyda har dharam ye chup kyu rehta
Tab ye khoon gharpe baithe facebook pe khaulte
Social media pe izzato ko hai uchaalte
Kamal ke ye log kuch jo bheed mein bhi shaamil hai
Par pata nahi hua hai kya ye bande jaahil hai
Insaaf naa milegi jab tak thokar tum na khaoge
Apne swarth ke liye tum kitno ko rulaoge
Jitni baar ye sarkaar aashwashan deti hain
Kya utni baar ye sarkaar wo karke dikhati hai
Aae mere watan ke logo zara aankh mein bharlo paani
Ye desh hai apne haath mein ye kashti nahi dubaani
Sab jhuthe waadein karte sab jhuthi lage zubaani
Kyu khabro mein hai chahyi har din dard bhari ek kahani
Jhuthe waadein desh ko ye khaate banke dimag hai
Khokhle ye waadein saare inki naa koi keemat hai
Kharidte ye paiso se uthate hai phir faida
Aawaz jo uthaoge seekhaynge ke kaida
Kya fayda sarkaar ka sarkaar karti chori
Tere mere paiso se ye bharti apni bori
Rokoge tum inko naa ye tere bas ki baat naa
Aawaz jo uthate ek koi uske saath naa
Neta mantri anpadh aur ye desh ko padhate hai
Jiski unko ilm naa un baato ko samjhate hai
Siksha ki ye karte baat khud hi jo gawaar hai
Main chakit hu kaise ye un kursi pe sawar hai
Apradh badhta desh mein kya wajah in baato ka
Garibi hai samaaj mein aur mol naa jazbaato ko
Bhukhi soti maa aur beti beech raat sadko pe
Kaun dega ab insaaf aur hisaab in baato kaa
Aae mere watan ke logo zara aankh mein bharlo paani
Ye desh hai apne haath mein ye kashti nahi dubaani
Sab jhuthe waadein karte sab jhuthi lage zubaani
Kyu khabro mein hai chahyi har din dard bhari ek kahani