Mama's Boy Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2022
Lyrics
Baate batani bohot hai par kese batadu ye seekha nahi hai
Dard bhi hota bohot hai par ek bhi ghaav mein cheekha nahi mai
Vichaaro ka arth batadu ye shabdo mein esa tareeka nahi
Toote khilone kharide na koi bas tabhi bazaaro mein bika nahi mai
Hasna mai chahta hu fir bhi ye ankhe bahati hai ansu hazar kyu?
Maa meri kehti hai "Aa, tere ansu se teri nazre utaar du!"
Maa mene kya kuch naa kia? Soya na jaaga hu, chhota sa dhaaga hu
Toota mai adhaa, Kyu roya zyada? haara mai fir bhi kya itna bekaar hu?
Tu maangti laakh duaaye par ek bhi saali kyu lagti nahi hai?
Mai itni baari gira hu ki ab sala uthne ki shakti nahi hai
Na mene kiya galat aur na kisi ka haq chheen ke khaya
Poochhna chahta hu tere khuda se ki mujhpe kya itni sakhti sahi hai?
Mene to pehle hi bola tha baate to bohot saari batani hai
Haar bhi maan chuka hu, kab tak khushiyo ke sapne dikhaogi?
Maa tu bhi thakti nahi? Dard ko ankho mein kitna dabaogi?
Mai duniya se poochhna chahta hu: Bhenchod, hume kitna rulaogi?
Maa teri god mein sar rakh ke thodi der mujhe sone de
Tere sahare ke aage mujhe thoda kamzor hone de
Sabhi ke aage mai hasta hu, tere aage thoda rone de
Maa mujhe rone de
Maa mujhe rone de
Maa teri god mein sar rakh ke thodi der mujhe sone de
Tere sahare ke aage mujhe thoda kamzor hone de
Sabhi ke aage mai hasta hu, tere aage thoda rone de
Maa mujhe rone de
Maa mujhe rone de
Tune to dekha hai maa, kitne hi jhatke mai jhel chuka hu
Kuchh nahi paas to khud ko mai mohra bana ke bhi khel chuka hu
Iss baar lagg raha darr mujhe thoda pehle se zyada
Khud ko samet bhi pauga? Kitne hi tukdo mein fail chuka hu!
Lakeere jo haatho mein hai ab unhi se kya mere halaat badal gaye?
Khush to mai pehle bhi rehta tha ab kyu mere din-raat badal gaye?
Badalne ke log shaukeen hai, rukti hawao ke sath badal gaye!
Tu aaj bhi puchhti hai maa ki ab kyu mere jazbaat badal gaye?
Tasveer badalti nahi, tasveer mein maujood log badalte hai
Jo haath milaate hai log wo haatho ke beech ragadte-masalte hai
Chehra mai kyu hi dikhau, jo chehre jko dhakte mukhaute hi chalte hai
Chutiye log hai kese ki nakli hasi se bhi asli mein jalte hai
Roz hi paani mein sarr daal ke chillane ko karta hai mann mere
Ghadi dekh mai karta hu intezaar, kab hoga agla janam mera!
Ye log to mahir hai aag lagane mein, aag lagate rahenge
Thoda sa foonk de maa kyuki dukhta hai jalta badan mere!
Khud ke bojh tale mai pisne laga hu, maaf tu karde
Kaanch pe chalte hu roz tu ghaavo ko mere saaf to karde
Ye duniya lagati hai laanat, ye karmo ka mere hisaab kyu karte?
Maa tu bas poonchh de ansu fir duniya ko mere khilaaf hi karde
Mujhe padta na farak tha kabhi kisi baat ka ab kyu hi padne laga hai?
Mujhe lagta hai andar hi andar roti hai tu aur mujhse khafa hai
Mai karta hu koshishe, kheechti neeche ye duniya, kya meri khata hai?
Na marne bhi deit na jeene bhi deti, ye zindagi kesi saza?
Zindagi bhar mene khud ko banaya, jo toota awaz sunayi na di?
Dekhte hai tasveer sabhi, takleef kisi ko dikhayi na di?
Kaash haraam ka hazam ho jata mai kha leta logo ke hisso ka hissa
Pareshaan rehta hu kyu maa mujhe tune esi hi neeyat sikhayi na thi!
Thoda sa samajh liya kar, mai keh bhi na pauga baate hazaar hai
Bahar se dikhta hu pathhar, andar se lagta hu kitna bimaar mai
Thoda sa weak aur pehle se zyada udaas bhi rehne laga hu
Baat ho teri khushi ki to duniya se ladne ko ab bhi tayyar
Tu karti kyu hai? Pareshanio mein khush hone ka naatak
Tu ladti kyu hai? I'm sorry mai gusse mein keh deta kaafi
Tu darti kyu hai? Mai ab tak haara nahi
Tu darti kyu hai?
Mai ab tak haara nahi hu...