Stress-Buster Lyrics
- Genre:Spoken Word
- Year of Release:2022
Lyrics
Rang sanwala
Khuli julfien
Khaali kaan
Haaye
Nikli meri jaan
Zra samne tohh baitho
Mann karna hai shaant
Mann kaafi der se hai pareshaan
Dupatta
Dupatta woh apne paas rakhti hai
Woh sharam ka lihajh rakhti hai
Woh hyaa rakhti hai
Dam toh itna hai ke
Duniya jeet le
Magar mere samne woh nazrien
Jhuka rakhti hai
Choti choti baaton par
Gussa aa jata hai usse
Woh gussa dba rakhti hai
Mujhe zindagi ke mayne btana woh
Meri galtiyo ki sja rakhti hai
Dil mein meri fikar
Dil mein meri fikar or lab par
Mere naam ki dua rkahti hai
Dikha toh sakhti hai
Magar pyar mere liye owh dil mein shupa rakhti hai
Bas kabhi kabar sar dard
Baaki haar dard ki woh dva lagti hai
Woh meri stress or stress buster
Jo lakh guaho par bhi mujhsse waffa rakhti hai
Dam toh itna hai ke
Duniya jeet le
Par mere samne woh nazrein jhuka rakhti hai
Mere samne woh nazrein jhuka rakhti hai
Kuch bhi toh nahi hai
Meri kavitayein
Kuch bhi toh nahi hai
Meri kavitayein
Tune jo ek nazar bhar dekh liya toh
Teri sadgi mein sari ki sari jla rakh di hai