MUMBAI 08 Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2022
Lyrics
Woh shabd jo maine likhe apne khud se hi
Ab main mic pe jaaga diary main jagah nahi
Maine likh jo bhi dekha, main jo toota hun jo pannon par
Ye aag ke beech lagi mujhe bhi aashiqui
Main to baccha tha jab likhna maine shuru kiya
Jab bhi girta, tab bhi galti main kabool kiya
Main to jab kalam ko choota, tab to aati Dii ki yaad hi
Unhone hi mujhe uthne par majboor kiya
Chalte hi chalte hi, main aagaya paapon ko dhone jo man main hain
Aaya tha Mumbai ki sheher se, jahan maidan main kooda aur khela main
Chote bhi jhela main! aur khane ke waqt pe mummy gurrati thi
Lage ke mandir main ghanti ya jungle main sherni koi badi
aahat machati thi
A slum se dosti ki, maine koi galti ni,
Woh to mera dost tha, mane madhosh tha
Ghar pe bana baitha jo main ek aloo parotha
Meri to thali thi badi, wo sadak ka ghost tha
Main aaj bhi yaad karu, to kandhe par bori thi uske
Aur mere par padhne ka bojh tha
Hum dono hogaye choor, tu gum aur main mashoor
We both from Mumbai city, Mumbai-08, rep in different ways
Hum dono itne kyun door? kyun barse naa rasool
We both from Mumbai city, Mumbai-08, grew in different ways
Ae dost kyun hogaye gum? ae dost kyun khogaye
Ae dost kyun khogaye
Kacche hum dono the, sapnon se bacche the
Sudama jhopdi main, Krishna tha mahal main
Woh kabhi sudhra naa, paathshaala jaana tha
Aur haath main chillum thi, mujhe gawaara na
Mujhe to pata bhi naa tha ki uski jo maa thi, wo randi thi
Bacche the bhandi par izzat na bechi woh
Hasti jo rehti woh dil se, aur man se bhi
Dil unka bada tha ghar in ameeron se
Kamai paseenon ke daam un zanjeeron main
Tehelti woh to ek pari bagheeron main
Ginti hogi unki anmol nageenon main
Raazon ko chupati jaise ho chabi-khazaana kameeno ki
Paapon ko peeleti, Khala woh kehne ki
Kadwahat jhelti woh shambho-naagin hoke
In baaton pe kyun main jhool? chaahun kar pau na bhool
We both from Mumbai city, Mumbai-08, rep in different ways
Pareshaaniyan ye kyun dhoop? chalte hum, jalte hain khoon
We both from Mumbai city, Mumbai-08, grew in different ways
Ae dost kyun hogaye gum? ae dost kyun khogaye
Ae dost kyun khogaye
Insaan hum aise kyun? Paapon ko dusron ka apna hi maanlete
Woh to sirf zeher pilate hain, coffee samajhkar hum cheeni milalete
Rakhte hain waadein bhi kayam, saade se, naram se, aakar fasaalete
Khote hain maasoomiyat jab bhi duniya ko asliyat hum apni
aakar bataadete
Insaan hum aise kyun? Paapon ko dusron ka apna hi maanlete
Woh to sirf zeher pilate hain, coffee samajhkar hum cheeni milalete
Rakhte hain waadein bhi kayam, saade se, naram se, aakar fasaalete
Khote hain maasoomiyat jab bhi duniya ko asliyat hum apni
aakar bataadete
Chote wo bacche jo, mere in aankhon main bade na honge
Bikhre wo deneko, zamaane ke kandhon ne diye par dhoke
Ab kya hain kehne ko?
Rahe tu jahan bhi, tu wahin pe khush reh
Main bhi to khush hun ke yaadein jo teri
Woh meri, aaj thehri hain hoth pe