![Tera Hun Main](https://source.boomplaymusic.com/group10/M00/11/01/ca5306e988bb4294a2a02fa748944810_464_464.jpg)
Tera Hun Main Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2022
Lyrics
Tu mila
Dil ke sabhi
Zakhmon ko mere
Marham laga jaise
Khwahishein
Dabi thi jo
Unko mili
Koi hawa jaise
Teri aankhon mein koi toh jaadu sa hai
Teri hasi mein bhi shararat kam nahi
Tere khayaalon mein hi guzregi zindagi
Hai tujhse guzarish karle mera yakeen
Tera hun main kabka
Tera hun main kabka
Chaha magar keh na saka
Tera hun main kabka
Kabhi na khatm hone wale safar pe chale hum
Kabhi na yeh teri meri baatein hongi fir khatam
Kabhi bhi muskurahat yeh chehre se tere na hogi kam
Kabhi bhi yeh teri aankhein hongi na namm
Teri panaahon mein rehna
Mere dil ki tamanna
Chahun jo tujhse main kehna
Kyun tu samjhe na
Tera hun main kabka
Tera hun main kabka
Chaha magar keh na saka
Tera hun main kabka
Darr lagta hai khwabon ko bunne mein
Toot na jaye sheeshe ki tarah yeh
Sochta hun ki khud ko bhi samjha lunga
Keh kar yahi ki tu nahi thi qismat mein
Kyun mile agar juda hona tha
Ab teri yaadon ka karun main kya
Kaise main bhoolunga tera yeh chehra
Ab tu hi bata main toh jaanu na
Tera hun main kabka
Tera hun main kabka
Chaha magar keh na saka
Tera hun main kabka