
Soured Lyrics
- Genre:R&B
- Year of Release:2022
Lyrics
Sun na Sun na
Baatein meri saari sun na
Kehna jo chaahu
Woh saari baatein samajhna
Sun na Sun na
Baatein meri saari sun na
Kehna Jo chaahu
Woh saari baatein samajhna
Raatein meri tere bin ab
Kat ti nahi hai
Baatein meri tere bin ab
Koi Sunta nahi hai
Kaisa mila hai yeh manzar
Thehra sa lagta samundar
Tu jo nahi saath mere
Sab khwaab lagte hai banzar
Sun na Sun na
Baatein meri saari sun na
Kehna Jo chaahu
Woh saari baatein samajhna
Mai kora panna hu teri uss kitaab ka
Pura toh bharti mujhko
Mai kya abhaav tha
Dard yeh de gayi mujkho
Galti meri kya thi haa
Chhod ke jaana tha toh
Wajah toh de jaati
Kaise the hum dono
Pyaar mai ghum rehte
Bhanak na hone di tune
Tu mujhko nahi chahti
Kalam uthaai maine
Tere jaane ke baad
Socha alfaaz yeh mere
Dilaaenge Insaaf
Sun na Sun na
Baatein meri saari sun na
Kehna Jo chaahu
Woh saari baatein samajhna
Raatein meri tere bin ab
Kat ti nahi hai
Baatein meri tere bin ab
Koi Sunta nahi hai
Kaisa mila hai yeh manzar
Thehra sa lagta samundar
Tu jo nahi saath mere
Sab khwaab lagte hai banzar
Sun na Sun na
Baatein meri saari sun na
Kehna Jo chaahu
Woh saari baatein samajhna
Nafrat hai mujhko tujse
Tere saaye se bhi haa
Apni si thi tu meri
Ab hai paraye si haa
Tu jo aadhe raste se
Mud gayi hai jaana
Bechainiyan Mujhme ab
Ghar kar gayi h jaana
Jitna sataya tune
Utni saza dunga
Mai kaun hota hu tera
Jo yeh raza lunga
Naa tu chaiye na tera
Pyaar paana baaki
Ab is raste pe daudu
Banke mai aekaki