Parvaaz Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2022
Lyrics
Maaf karain, thohri daair hogayi
Jeevan raat shuru, khatam jo savair hogayi
Galatfehmiyon se rishton mein ab ch'hair hogayi
Meri shakal tasveeron mein safaaid hogayi
Maine aarzu jo bhari, mujay paish hogayi
Dheere Dheere saari dunya ab tez hogayi
Dheere Dheere saari dunya faraaib hogayi
Meri shayari bhi ab hairatangaiz hogayi
Tere liye zindagani mehz khel hogayi
Mere liye zindagani goya jail hogayi
Mera pyaar unhain lagga jaisay thais hogayi
Rung raiz hogayi, rung raiz hogayi
Khwab e Baytabi raati chamak dekhi aap mein
Aap ki Khamoshi bhi tafseel se jawaab day
Aaj thama khud ka haath, khudse lambi chauri baat
Dekha aina aur kaha Ali shakhs aap kamaal thay
Kia khoob unsay maan thay
Dil e majboor kehta dil e naadaan se/ kia
Ke Mujay paalna dhaiyaan se, pathar maray log aur main bana hua kaanch se/
Ab- Ab to dar nai laggay dar se
Rappers phunchna chahay lekin chohtay mere qadd se
Kabhi kabhi peeta aur tajawaz hui hadd se
Aur khabardar rehna saray tum sab mere sharr se
Maaf karain, thohri daair hogayi
Jeevan raat shuru, khatam jo savair hogayi
Galatfehmiyon se rishton mein ab ch'hair hogayi
Meri shakal tasveeron mein safaaid hogayi
Maine aarzu jo bhari, mujay paish hogayi
Dheere Dheere saari dunya ab tez hogayi
Dheere Dheere saari dunya faraaib hogayi
Meri shayari bhi ab hairatangaiz hogayi
Hum awaaz dain to aatay nahi ho
Dil ki baatein ab bataatay nahi ho
Ana paal li hai tumne, to phir jao tum bhi mere dil ko pehle jaisa bhaatay nahi ho
jadon ujri jindri meri soch hovay
Aajiz inna pavan jini marzi phonch hovay
Maula Madad, raati seenay vich bojj hovay
Shaid ainji honda Jadon niyat vichi khott hovay
Woh sotay mujpe issi waja se main sota nahi ab
Manfi logon se haan mera koi Samjhota nahi ab
Pehle hota tha jo dard, ansu ka samandar lekin aankon mein to ek Aansu hota nai ab
Farishtay jaldi ayeingay
Poochain gay sawaal aur meri jaan lay jaye gay
Mujay rab se milvaingay
Dunya ke woh raaz mujay tab samaj ayeingay
Wah tumhara fun, tum jhoot ke fankaar thay
Khair jo bhi thay lekin mere dildaar thay
Kisko pata jaisay taisay mere bere paar thay
Dil e muztar kehta yeh ab dil e bayzaar se
Maaf karain, thohri dair hogayi