
Zaat ft. Prakhar Gupta Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2022
Lyrics
Mai gehre samandar mei chaaro taraf paani paani
Na peene ko paani hai
Kalam chalti raaton mei aaye na chain na neend
Bas yaad hi aani hai
Mai baitha ab doston ke sang sb ka hissa maine piya hai coz
Sab hai sober chal sober hi sahi
Aa sun Prakhar ko kahani sunani hai
Haan mujhe bhi chada suroor tha ek waqt maine bhi pyaar kiya tha
Jhoot na bolunga tumse haan pyaar ki feeling, wo baat hi alag thi
Usko tha mujhpe bharosa haan saath nibhaane ka waada kiya tha
Sab kuch chalta sahi, par sab kuch khatam
Bas baat thi itni ki zaat hi alag thi
Cast ke maare the dono
Na ghar wale raazi, na raazi samaaj tha
Wo bhi chali gyi chhod yun pyaar nahi saala
Jaise mazaak tha
Khabar bhi faili ye tezz thi
Mehfil mei hui thi bezzati
Socha tha ladenge society se
Par usko to pyaari image thi
Lambi wo kaafi debate hui
Fir haar se last mei bhet hui
Jo bhi kiya uske liye sab vyarth haan
Urdu bhi seekhi wo waste hui
Past mei apni jo date hui
Aake bole mistake hui
Dharm ki baat jo beech mei aayi to
Pyaar ki baatein sab fake hui?
Jab bhi akela tha tu hi sahaara tha
Doobti naav ka tu hi kinaara tha
Aaj bhi saare wo kisse suna du mai
Apna bta tu.. kya abhi bhi yaad hu mai?
Pyaar ko apne uss soch ne maara tha
Zaat ke maslon ke bojh ne maara tha
Yaar bhi bole ki sab kuch bhula du mai
Kaise bhula du haan kaise bhul du?
Bhed bhaav ki beemari
Sab pe padegi bhaari
Pyaar se badi yahan hai
Zaat-paat duniyadari
Do dilo ki dhadkano ko
Milne na denge saale
Chaahe tu rahe kuwaara
Chaahe wo rahe kuwaari
Bhed bhaav ki beemari
Sab pe padegi bhaari
Pyaar se badi yahan hai
Zaat-paat duniyadari
Do dilo ki dhadkano ko
Milne na denge saale
Chaahe tu rahe kuwaara
Chaahe wo rahe kuwaari