Kitna Piyasa Tha Woh Ali Asghar a.s Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2024
Lyrics
Marke bhi moo khula raha jiska
Kitna pyaasa tha woh Ali Asghar (AS)
Haye Sadaat ke gharane mein
Sabse chota tha woh Ali Asghar (AS)
Bole lashkar se yeh sheh-e-waala
Dekho seh roz ka hai yeh pyaasa
Khud pila jao paani yeh kehke
sheh ne jab garm khaak par rakha
Shiddat-e-pyaas se tadapte hue
Lab hilaata tha woh Ali Asghar (AS)
Margaya baap ke woh haathon par
Dekh na paaya koi woh manzar
Saare maidan mein qayamat thi
Pher kar moo ko ro diya lashkar
Teer nanhe gale pe kha kar
Jab muskuraaya tha woh Ali Asghar (AS)
Kitna chota sa hai badan iska
Aur takleef seh nahi sakta
Mere marne ke baad asghar ka
Koi paamaal na kare laasha
Shaah-e-waala ne garm reti mein
Yun chhupaaya tha woh Ali Asghar (AS)
Sar chadhaaye gaye jo nezon par
Jab nazar aaya na sar-e-Asghar (AS)
Dhoondne ke liye badan uska
Maare neze zameen par milkar
Ek neza zamee'n se jab nikla
Saath aaya tha woh Ali Asghar (AS)
Jisko jhoole mein maa jhulaati thi
Jisko aagosh mein sulaati thi
Jiski nazrein utaara karti thi
Jisko har gham se woh bachaati thi
Maan ne maqtal mein nok-e-neza par
Kaisa dekha tha woh Ali Asghar (AS)
Chhe mahine ka ek shehzada
Teer ke baad kha chuka neza
Ek zaalim ne jism se uska
Hans ke khanjar se aise sar kaata
Gir gayi khaak par woh maa
Haye jiska beta tha woh Ali Asghar (AS)
Roke Zeeshan Abidi ne kaha
Socho Mesum sitam hua kaisa
Ghuttniyon bhi jo chal na paata tha
Kitni bedardi se usse maara
Kya Madine se Karbala Haye marne aaya tha woh Ali Asghar (AS)