Loading...

Download
  • Genre:Hip Hop & Rap
  • Year of Release:2024

Lyrics

Barra hi darr lagge k likhte likhte gaane na anjaane mein main dil dukha doun tera

Tere hote hoye bhi teri kami si ha, Jala k 100 chiraag bhi maano k dil mein ha andhera


Tujhe Pasand hain ye gaane Par tu Samajhti nahin Ha

Ke ye gaane maine likhe tere liye


Tere saamne bhi ho jayenge chup aik din hum

Ke hum aadi hain pehle bhi kayii baar Lab Siye


Wohi Anjaam Hoga

Ankhen laal, bikhre baal,Teri yaad,

Or is haath Mein Ek Jaam Hoga


Or ek Qalam hoga,

Or us qalam se Likhna

Nasha, Maut, KhudKushi Aam hoga


Maine Kaati thi wo raaten bas guzaari nahin thi

Wo hi to meri Dunya saari nai thi


Subha utha to mein khush k mein Nashe Mein Tha Bhutt

Shukar Khud ko Goli Maine raat maari nai thi


Ab mein kya karoun behas ab mein kya karoun gille

Tujhe Samajhna agar Chahoun tu mujhse karti baat nai


Mujhe Tere Siwaa nai Chahiye tha Kuch

Teri Mere Siwaa Bhi waise Kayii Khushishaat thien


Par ab Mein Ye nai Kehta k ghalat ha ye

Tu baat samajh Tere mere mein farq ha ye


Ke mujhe Muhabbat k aatay nai Saleeqe,

Tu meri ha, To Kisi aur ki na ho


Tu meri ha Us Apni Har Khata k baad

Tu meri ha Magar barri Wafa k baad


Tu beshak Agar Chahe Mujhe chor de

Kiunke tu meri ha magar apni raza k baad


Tu meri ha Meri Har us Dua k baad

Tu meri Ha Aakhri Alvidaa k baad


Tu meri ha, Par Tujhe Cheen na Le wo mujhse

to meri to tu ha Magar Khudaa k Baad


Bata ke baat maine dil ki kahin ghalat kiya

Kahin faraq sahi ghalat mein na samajh paya


Kahin apne dil pe pathar rakh ke tere dil ko rakha

Teri baaten suni haal dil ka naa bataya


Magar Theek ha na jaan, Kabhi dhoop kabhi Chaoun

Kabhi Door Hoke paas, tujhe paas se na paoun


Kabhi aisi ho Afsurdagi k Zindagi Qabar lagge

Khushi kabhi aisi laggen Zameen Pe Na Paoun


Mein kya hi gaoun gaane

Ke tu sunti ha mujhe ab magar samajhti nahin


Ek qaraar sa milne laga ha in andheroun mein

I'm damn sure ke tu bhi ha yahin kahin


Chahe tu na bhi ho to tab bhi mere dil mein ha na tu

Tere muntazir hain par kabhi na milne aaya tu


Ye sabar ki gharri ha jo guzarti nahin

Meri muhabbat tu dekh meri ghalti nai


Kya badal gaya ha kuch hamare beech?

Ya wo tha hi nahin jo humne gumaan kiya tha


Us se zayada ho gaya ha dushwaar meri jaan

Jitna jeena tune mere liye asaan kiya tha


Tu hi to thi wo jisko sab se zayada thi fikar meri

To ab mein humdardi ki bhala kis se rakhounga umeed


Ye jang teri meri kabhi thi hi nahin

Ke hum judaa ho gaye hain isme kisi ki nai jeet


Yaqeen tha k badal dounga mein tujhe

Par koshish nakaam si hain saari meri


Kitne logon par mein hansta tha k mard hoke rote hain

Ye makafat e amal dekh aagyi na baari meri


Tere bina pehli kese guzaregi ye raat

Kese likhoun bhala in saffon pe apne mein jazbaat


Is se pehle tu karle faisla mujhe chorne ka

Janan tu bas jaanle ye baat


Ke Tu meri ha Us Apni Har Khata k baad

Tu meri ha Magar barri Wafa k baad


Tu beshak Agar Chahe Mujhe chor de

Kiunke tu meri ha magar apni raza k baad


Tu meri ha Meri Har us Dua k baad

Tu meri Ha Aakhri Alvidaa k baad


Tu meri ha, Par Tujhe Cheen na Le wo mujhse

to meri to tu ha Magar Khudaa k Baad

+

      -   or   -

      -   or   -

      NG +234
          -You can log in via below methods-
          Reset password via e-mail
          -or-
          Reset password via e-mail
          If you have any questions, please feedback on Boomplay App or send an email to [email protected].

          Please Select A Playlist

          Add New Playlist

          Share on

          Embed: Love & Light EP

          Custom Size :

          • Default
          • Desktop(300*600)
          • Mobile(300*250)

          Type :

          • HTML/HTML5 (WordPress Supported)
          Get Boomplay Premium
          for
          Payment Method
          Pay With
            Review and pay
            Order Date
            Payment Method
            Due Today
            Flutterwave
              Subscription Successful

              Congratulations! You have successfully activated Boomplay 1 Month Premium.

              Now you have access to all the features of Boomplay App.
              Payment Failed

              Please check your balance and then try again.

              You'll lose your subscription if we don't have a working payment method for your account, so please check your payment details.
              Need help? Contact Boomplay Subscription Support.
              Payment Processing...
              10 s

              Payment is being processed by . Please wait while the order is being comfirmed.

              Payment Processing
              Your order is processing, and it may take up to a few days for the service provider to handle your payment. Please kindly stay tuned and check your order status in ‘User Center’.
              About Order Status