Ye time hi sacha hai Lyrics
- Genre:Soul
- Year of Release:2024
Lyrics
Baatein jo karunga hogi kabhi nahi purani
Kyuki shabd mujhe pasand jis se milti azaadi
Bahar se sukoon kabhi milega nahi tujhe
Bas tere andhar rehti teri shanti
Jesa hu me wesa rehna chahta
Samjane waale bhot par mujhe khud samaj aata
Jo bhi me hu seekhta dusre ko sikhaata
Sab ko samay batayega kyu me gaane tha banata
Jitna sahunga toh me utna kahunga
Or bolkar apna kal me likhunga
Sirf bolne walo ko bina bole sikhadunga
Jab shor mache tab kaise shant rehneka
Ye aasu tujhe hasaate or khushi hai rulaati
Kabhi puch khudse kyu tujhe zindagi satati
Milega jawaab par milega nahi wo kabhi
Agar tune wo cheez dil se nahi mangi
Kardi thi mene bhi ek galti soch liya dil se ke
Mile mujhe ek insaan
Fir pata chala wo bhi ek tha insaan
Jisey chahiye tha me nahi koi aur insaan
Aankho ne to aankho ko hi dekha par kon hai jo peeche in aankho ke hai rehta
Ye meri shakal ko toh mene sirf rote hue dekha
Tabhi mera sapna aaj mujhe sone hi nahi deta
Meri baatein aage sabki apni baatein banegi
Tab tu bhi jaake firse meri baatein sunegi
Kitna bhi karunga tu mujhe vapas nahi milegi
Kyuki andhere me hi roshni mujhe dikhegi
Aaj me jitna akela utna hi upar me jaunga
Ye hawa mujhe sunti hai iske saath me rahunga
Ab khudse karlu pyaar kabhi milega nahi ye dusro se
Me jeera zindagi par me rehta hu meri yaadon me
Me rehta hu meri yaadon me
Ab koi nahi hai meri baahon me
Khudko mat bolo insaan abhi bhi sab jhagadte
Pyar kare sacha sirf jisne tujhe kiya bada haath pakadke
Tere andhar rehta karam isliye
Jee le zindagi ko thoda samaj ke
Mujhe mili kalakaari jisko khareedne ke liye paisa mere paas aayega
Par ye mila mujhe uparwaale se isliye paisa hi khareeda jayega
Kuch log dikhre bade lekin chota hai dimaag
Ye hai do hazaar 24 me bhi bandar waali jaat
Ye jo paise tu dikhara tere baap ka hai maal
mere paas mera paisa or tera bhagwaan mere saath
Ay,ay
Sab ka meet sarvmeet mr. puchi