Pagdandiyan Lyrics
- Genre:Alternative
- Year of Release:2023
Lyrics
Pagdandiyon pe chalte chalte
Wahan main chal pada
Jahan na koi firk thi
Na koi beimaaniyan
Kyariyon se nikalte the chain ke dhage
Yaariyon me bhi hote the janmon ke vaade
Kuch deewanepan ke, awaara mann ke
Ankahee dastaan
Hain sunane aaye, anjaan raahi
Sapnon ki kahaaniyan
Titliyon ki sarsarahaton se bhi
Nikalti ho jahaan
Kahaani aisi, bachpan ko jo deti ho sada
Daadi ne kahe, sunehre kisse the jo
Woh goonjne lage, jaise roz-marra ishtihaar ho
Kuch deewanepan ke, awaara mann ke
Ankahee dastaan
Hain sunane aaye, anjaan raahi
Sapnon ki kahaaniyan
Naakamiyon se nakaam bhi, muqaddar ho jahan
Surkh-ruu har maqaam, ruuh-e-sikandar hai wahan
Surkhiyon me bhi, hain ashiqui ke charche tamaam
Aur junoon tarz hai
Subah jeet jashn-o-mauj ki hai shaam
Kuch deewanepan ke, awaara mann ke
Ankahee dastaan
Hain sunane aaye, ooohooo, mmmhmmmmm