
gumshuda Lyrics
- Genre:Alternative
- Year of Release:2023
Lyrics
Chalte chalte ye kahani
Tu aur mein dhoondte han bhai
Asal baat hai ke
Teri wajood
Ka anjaam hai ye
Mere dil mein
Mere dil mein
Aik uljan si hai
Jo dafan ki tum ne
Gehraioun mein jama di
Saddioun se jala diay
Poochay bin ye rishtay
Ab ham he hain ab ghistay
In ghisay pittay lafzoun pe
Khuda ke samne jhuk ke
Waris in yaadoun ke kiunke
Tum nahi to mein kahein
Gumshuda na houn
Pukaar ke to dekh sahi
Aas paas to houn mein he
Par mein to agay chaloun ye koshish ye meri
Lekin tum to ho-o-o-o
Aik gehri si kami
Maazi kho ke dunya tum paa na sako gi
Ab meray lafz to suno, ye tere liay he
Jhoota pyar aglay
Ko dena tum sahi
Kiunke mein he houn hamesha
Tere takhayyal mein he
Ye sakht si hai jo kasak
Tere rooh mein aaj
Iska ilaaj hai
Sirf mere paas
Mukhlis ye chahat hai
Aur dil ki ye ahat hai
Andheri si in raatoun mein
Taaray bharay asmaanoun mein
Asmaanoun mein mein kho raha
Teri sochoun mein mein mubtala
Agay peechay rukh dhoondta
Par yaadoun mein hai dukh ghoomta
Kiunke tum nahi to mein kahein
Gumshuda na houn
Pukaar ke bula sahi
Aas paas to houn mein he
Par mein to agay chaloun ye koshish ye meri
Lekin tum to ho-o-o-o
Aik gehri si kami
Maazi kho ke dunya tum paa na sako gi
Ab meray lafz to suno, ye tere liay he
Jhoota pyar aglay
Ko dena tum sahi
Kiunke mein he houn hamesha
Tere takhayyal mein he
Ye sakht si hai jo kasak
Tere rooh mein aaj
Iska ilaaj hai
Sirf mere paas