
Fly Lyrics
- Genre:New Age
- Year of Release:2023
Lyrics
Jo bhi kari mene baatein wo saari baatein aam lagi
Roz kari mene mehnat usme raatein bhi tamam lagi
Kai lage ilzaam bhi mujhpe roz kare badnaam ye mujhko
Main toh karu bs kam qismat Karne intezam lagi
Koi Aaye jaaye ab mujhko farak na padhta khaas
Wese toh main sakht bada pr soft hai andar mera heart
Chahu na main dooriyan par kam nikaal ke chal dete hain
Kuch meri majburiyan main likhta wahi lo ban gayi art
Kam se ab pehchan rahe hai lb king ko jaan rahe hain
Thoda sa samay laga par ab toh sab de dhyaan rahe hain
Pehle kehte bas ki nahi or ab ye kehte kuch toh karega
Pair na dikh rahe zamin pe sapno ki dekh udaan rahe hain
Aaj nahi toh kal ayega wo pal
Likhra khud se Zindagi meri likhra khud ka kal
Aaj nahi toh kal ayega wo pal
Likhra khud se Zindagi meri likhra khud ka kal
Main aaj jo kuch bhi bana hu isme Mera hath nahi
Kuch the mere sath me lekin ab wo mere sath nahi
Mujhko fir rab ne sambhala meri thi aukaat nahi
Mera rakhwala uparwala darne ki baat nahi
Sapne dekhu jaag jaag ke sota kam hu raaton ko
English me main gata nahi tum samjh sako jazbaaton ko
Hindi meri matrbhasha hindustani dharti se main
Likhta ja raha likhta ja rok lo aakar hathon ko
Aag lagi hai seene me tbhi dhuaan naam ka cha raha
Gaane likh raha Roz roz par channel pe kam la raha
Mujhse jalne waalon ki tadaad hai kyuki badhti ja rahi
Isiliye main dheere dheere se hu inko jala raha
Aaj nahi toh kal ayega wo pal
Likhra khud se Zindagi meri likhra khud ka kal
Aaj nahi toh kal ayega wo pal
Likhra khud se Zindagi meri likhra khud ka kal