Sawal Lyrics
- Genre:Hip Hop & Rap
- Year of Release:2023
Lyrics
Kabhi lagta ha mai waqt se haara baazi houn
Kabi lagta ha ma shayad khudse raazi houn
Kabi lagta peeche chor dia sb kuch ma ne
Phir pata lagta ma abi bhi phasa maazi ma houn
Shuru se shuru ye iktetam ka anjaam ha
Khudse shikayat ha ya muje khudpe maan ha
Kbse houn safar pe ab likh rha ye safarnama
Aur bachi zindagi bhi is safar k naam ha
Ha bs ma sb kuch laikin kuch b mere bas ma nai ha
Phasa pachtawo ma pachtaway mujme dhans hi gaye hain
Wo mujse kehti ha kay saad tum pehle jese nai ho
Andar hi andar khudme khi ab tum phas hi gaye ho
Likhi shayari aur kagaz phir jalaye ma ne
Roshan kr kay kitne diye saaray hi bhujaye ma ne
Logo ko nazar aata shayad ab ma hasta nai houn
Aur ma nai smj paata kyu ma khud ka saga nai houn
Chahiye jawab thay ma aur sawal houn dhoond chuka
Ma jesa jo bhi tha ma khud bhi ab wo bhool chuka
Nikla houn safar pe aur manzil ka kuch pata nai ha
Khudse kyu khafa houn jb koi b mujse khafa nai ha
Kabhi lagta ha mai waqt se haara baazi houn
Aur kabi lagta ha ma shayad khudse raazi houn
Aur kabi lagta peeche chor dia sb kuch ma ne
Phir pata lagta ma abi bhi phasa maazi ma houn
Jaga veraan aur ma khud kay muqabil houn
Khud se anjaan laikin dunya kay liye qabil houn
Pehle to ma bhi khi basta tha is dunya ma
Basta khayalo ma ab hochuka ma ghafil houn
Suna tha me ne gardish ma hotay sitaaray hain
Gardish ma zindagi to hum bhi kya sitaray hain
Muqabil ha zamanna par hum apne ap se haray hain
Kitno ka sahaara khud Khuda kay saharay ha
Kitno ko azeez par ma khud ko hi azeed na tha
Mere hi andar basta shaks koi ajeeb sa tha
Kabhi ha lagta k ma maara gyaa esi liye
Takay ma smjta kay zindagi ha cheez kya
Dekha tha ma ne tumhe naazro pe betha kay bhi
Dekha tha ma ne khud saara bhoj utha kay bhi
Muje to kuch na mila apna aap lutaa kar bhi
Aur tum bas mukar gaye ho sachi kasmein kha kay bhi
Ma ne to harr kar bhi jeeti li ye baazi ha
Muje afsoos nai ha har sakhs mujse raazi ha
Maazi pe kabi b swal nai uthaatay hain
Tu mere liye kuch bhi nahi ha bas aik bura maazi ha
Kismat ne aagay mere mushkil imtehaan rakha
Kaun kaha mujpe hasa ma ne bhi dehan rkha
Kabhi tha lagta poora nahi hoga maqsad mera
Laikin khudpe fakahr ha kay ma ne khud ka maan rkha
Ma ne bs mehnat ki ha isme koi saza nahi ha
Pesa majboori ha pese bin koi maza nai ha
Ha meri minat kay umeedain na lagana mujse
Poori kese kru muje khud pe bharosa nai ha
Likhu qismat ye muje ikhteyaar nai ha
Azmalo saaray hunar muje intezaar nai ha
Aik waqt esa tha ma kanto pe bhi mar jaata tha
Aj waqt ha esa muje phoolo se pyaar nai ha
Jin cheezo se khauf aata muje unka shoq kyu ha
Jab ma shayar nai houn phir gaano ma zauq kyu ha
Marne k liye to zehar sabhi peete hain
Aur ek hum zindagi ko zehar pee kay jeete hain
Marne k liye to zehar sabhi peete hain
Aur ek hum zindagi ko zehar pee kay jeete hain
Marne k liye to zehar sabhi peete hain
Aur ek hum zindagi ko zehar pee kay jeete hain
Chahiye jawab thay ma aur sawal houn dhoond chuka
Ma jesa jo bhi tha ma khud bhi ab wo bhool chuka
Logo ko nazar aata shayad ab ma hasta nahi houn
Aur ma nai smajh paata kyu ma khudka saaga nai houn